Ro Ro Pukari Bali Sakina (S.A)

ro ro pukari bali sakina
ammu ghar aajaiye

baba jab se ran ko sidhare
baithe hai dar par aas lagaaye
paani ab tak aap na laaye
itna na ab tadpaiye
ammu ghar….

akbar bhai ran se aao
gham ki maari se mil jaao
behna ko apna haal sunao
surat aake dikhaaiye
ammu ghar….

raaq hue sab qaime jal kar
maare tamache shimr ne aakar
jalgaya hai hai bhaiya ka bistar
zulm se humko bachaiye
ammu ghar….

suna jangal raat hai kaali
kaun karega ab rakhwali
godi amma ki hai khaali
asghar ko le aaiye
ammu ghar….

doob gaye sab chand aur taare
akbar aur asghar gaye maare
dukhiya maadar kisko pukaare
zulm se sab ko bachaiye
ammu ghar….

ek bhai bemaar pada hai
us par bhi ye zulmo jafa hai
tauq-o-salaasal may jakda hai
qaid se usko chudaaiye
ammu ghar….

kooch ki hoti hai tayyari
aayi mehmil aur na amaari
be-parda hai aal ye saari
raste se sab ko hataiye
ammu ghar….

sadke mai aal aur quran ke
saaye may is qaumi nishaan ke
door rahe gham saare jahan ke
anjum ko bhi bachaiye
ammu ghar….

1,323 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot