Qaidi Musafir Chala
Haye Mera Sabr Ka Khuda, Zainuliba
Ban Kay qaflay Ka Saraybaan, Shaam Ko Chala
Rezgaaro Ko Paani pilaata Hoa
Apne pairoh ke chaaley bahaata Hoa
Ek Qaidi musaafir chala
Saath Iskay Hain Beyparda Kuch Bibiyaan
Unkay Shaano Ko Jakray Hoye Reysama
Hain Ye Mastoor Kufay Ki Shazadiyan
Khak Sab K Saron Main Labon Par Fugaan
Hoslay Qaidiyon K Barhata Hoa
Rezgaaro Ko Paani pilaata Hoa
Apne pairoh ke chaaley bahaata Hoa
Ek Qaidi musaafir chala
Tauko Zanjeer Hi Iski Taqdeer Hai
Phir Bhi Sabro Raza Ki Ye Tasveer Hai
Bay Rida Maa Phupi Aur Hamsheer Hai
Bas Ishi Gham Se Laachar Aur Dilgeer Hai
Sabr Karta Hoa Dil Jalata Hoa
Rezgaaro Ko Paani pilaata Hoa
Apne pairoh ke chaaley bahaata Hoa
Ek Qaidi musaafir chala
Ankh Roti Hai Dil Mahway Fariyaad hai
Har qadam Ra Ha Main Aik Uftaad Hai
Han Ye Qaidi Muhammad Ki Aulaad Hai
Baap Shabbir Naam Iska Sajjad Hai
Apnay Baba Ka Wada Nibahta Hoa
Rezgaaro Ko Paani pilaata Hoa
Apne pairoh ke chaaley bahaata Hoa
Ek Qaidi musaafir chala
Binte Zahra K Zakhmon Ka Marham Hai Kiya
Farsh e Shabbir Hai Aur Zainuliba
Asah Ghayoor Beta Hai Shabbir Ka
Rah Main APnay Sir Ko Utha Na Saka
Khoon e Dil Aasuon Main Bahata Hoa
Rezgaaro Ko Paani pilaata Hoa
Apne pairoh ke chaaley bahaata Hoa
Ek Qaidi musaafir chala
Ye Sitam Jhail Sakta Hai Koi Kahan
Beta Salar Ho Aur Qaidi Ho Maa
Aur Uspar Sitam Hat Kari Beriyaan
Maut Asaan Jeena Mushkil Yahan
Kuwatay Sabr Ko Aazmata Hoa
Rezgaaro Ko Paani pilaata Hoa
Apne pairoh ke chaaley bahaata Hoa
Ek Qaidi musaafir chala
Aik Janib Aseeran e Gham Noha Gar
Aik Janib Siyaan Par Shaheedon K Sir
Bay Watan Mehray Gham Aur Zakhmi Jigar
Kaisay kaanton Pe Karta Raha Wo Safar
Parh K Nad e Ali Zakhm Kahta Raha
Rezgaaro Ko Paani pilaata Hoa
Apne pairoh ke chaaley bahaata Hoa
Ek Qaidi musaafir chala