Chajjan sahab noha
Na kaho qum main bana kon wasi yaad nahi
Kaun aisa hai jisse naam e Ali yaad nahi
Zer e pa Mohr e nabuwat hai khuda kay ghar main
Aoo batladein jo mairaaj e Ali yaad nahi
Maanlo haider e karrar ko maula e ghadeer
Kya tumhe hukm e khuda qaul e nabi yaad nahi
Jang e khaiber ki kahani amadan bhool gaye
Jab payamber nai pari nad e Ali yaad nahi
Itna dekha tha ke chamki thi Ali ki talwar
Bijli kaise sar e marhab pa giri yaad nahi
Isko dunya ki siyasat ke siwa kya kahiye
Yaad sab ko hai nabi aal e nabi yaad nahi
Ahle bait e nabawi se nahi waqif Dunya
Jisse Qur’an ki zeenat hai wohi yaad nahi
Lo suno qaul e payambar hai Hussain o minni
Ab na kehna kai hadees e nabawi yaad nahi
Wo bhi jannat ki tamanna liye baitha hai jisse
Bara galiyon main koi aik gali yaad nahi
Ay musalman rukhe akbar se sarakti hai niqaab
Dekhle phirse agar husn e nabi yaad nahi
Asr ke baad nahi maangte bache pani
Baad e shah aik ko bhi tashna labi yaad nahi
Sakht mushkil main karo shukr ka sajda mahir
Kya tumhe seerat e farzand e nabi yaad nahi
Na Kaho Qum Main Bana Kon Wasi