Na Alam Na Chacha

na alam na chacha na shah-e-karbala, shaam hogayi
jo bhi ghar se gaya wo na phir aa saka, shaam hogayi

raah takti rahi shiddate pyas may,
kat gaya din isi aas hi aas may
koi aaya nahi jaane kya hogaya, shaam hogayi
na alam na chacha….

pani lene gaye dayr kitni howi,
din dhala ay chacha shaam-e-gham aagayi
khushk hai ay chacha mera ab tak gala, shaam hogayi
na alam na chacha….

kisko aawaaz doo huk ke maidaan may,
kaun hai jo sune is biyabaan may
de rahi hoo tumhein jaane kabse sada, shaam hogayi
na alam na chacha….

laut aao ke paani nahi chahiye,
khao mujpar taras ab khuda ke liye
mashk khaali hi le-aao ab to chacha, shaam hogayi
na alam na chacha….

jaake maidaan may baba bhi aaye nahi,
ab to jhoole may asghar bhi haaye nahi
qaima jalta hai yu jaise koi diya, shaam hogayi
na alam na chacha….

ro rahi hai phuphi chin gayi hai rida,
maarte hai tamaache mujhe ashkiyaa
qaima jalta hai yu jaise koi diya, shaam hogayi
na alam na chacha….

baazuon may rasan baandhne aagaye,
khainchke legaye dur mere kaan se
hogaya khoon se tar saara kurta mera, shaam hogayi
na alam na chacha….

lo chacha suve zindaan chali ghamzada,
alvida alvida  ay qateel-e-jafa        
lijiye aapse ho rahi hoo juda, shaam hogayi
na alam na chacha….

nowha rehaan majlis may sunke tera,
chasme giriyaan ko ye hosh kab hi raha
kab sahar hogayi aur kab dhin dala, shaam hogayi
na alam na chacha….

1,426 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot