ek maa ka ye noha tha aajao ali asghar
dushwar hua jeena aajao ali aghar
kya dil pe guzarti hai batlaun tumhe kaise
is waqt kamar thame rote hue hasrat se
kehte thay shahe wala aajao ali asghar
ek maa…..
mai kisse kahoon beta ab qatm hua lashkar
shabbir akele hai abbas hai na akbar
hai waqt qayamat ka aajao ali asghar
ek maa…..
ek baar chale aao phir jaane nahi doongi
godi may uthaungi seene se lagaungi
jungle may nahi sona aajao ali asghar
ek maa….
ay laal teri surat phirti hai nigahon may
laut aao ke ab lori dhalne lagi aaho may
khoon rota hai dil mera aajao ali asghar
ek maa….
behaal sakina hai dekho to zara aakar
hai neel tamacho ke mazloom ke gaalon par
marjaye na masooma aajao ali asghar
ek maa….
bikhre hue laashe hai har ek taraf ran may
khauf aata hai ay beta is ujde hue ban may
maqtal may hai san-nata aajao ali asghar
ek maa….
mai raton ko uth uth kar jo jhoola jhulati thi
de de ke tumhay loori mai jis may sulaati thi
veeran hai wo jhoola aajao ali asghar
ek maa….
hai aakhri sajde may wo warise paighambar
ab shimr ka khanjar hai shabbir ki gardan par
lutjaye na ghar mera aajao ali asghar
ek maa….
mehshar tha bapa gowhar is dasht-e-musibat may
tadpa to zaroor hoga baysheer bhi turbat may
jab maa ne kaha hoga aajao ali asghar
ek maa….