La Ilaha Illallah Muhammadin Rasool Allah Ki Laazawal Darsgah Hussain Hai
Na Jiski Koi Misaal Hai Na Jiski Koi Nazeer Hai
Wo Bemisaal Shehansha Hussain Hai
Hussain Rooh-e-Kainaat Hai,
Hussain Fakhre Mojzaat Hai,
Khuda Ne Jisko Marhaba Hai Naafs-e-Mutmain Kaha
Wo Karbala Ka Mustafa Hussain Hai
Hussain La Ilah Ki Zindagi
Hussain Ambiya Ki Bandagi
La Ilah Se Pooch Lo Ke Saari Kaainaat Mein
Sirf Bina-e-La Ilah Hussain Hai
Haram Mein Hashr Ka Sama Hua
Phuphi Se Jab Sakina Ne Ye Kaha,
Mujhe Na Neend Aati Hai Main Soun Kiske Seene Par
Kahan Chala Gaya Mera Hussain Hai
Hai Hashmi Jawano Kya Hua,
Kahan Chale Gaye Ho Bawafa
Sadaa Ye Fatima Ki Thi Ke Rann Mein Koi Bhi Nahi,
Akela Reh Gaya Mera Hussain Hai,
Pari Hai Rann Mein Laash-e-JaBajaa
Jale Khayyam Kuch Bhi Na Bacha,
Haram K Sir Se Cheen Li Yazeedion Ne Chaddarin,
Yun Karbala Mein Lut Gya Hussain Hai,
Hussain Deen Ka Shabab Hai
Hussain Dard Ki Kitaab Hai,
Kafan Ke Bannd Khol Kar Bulaya Jisko Maan Ne Khud,
Wo Fatima Ka Ladla Hussain Hai
Tarap Chuki Shabeeh-e-Mustafa,
Magar Hussain He Datta Hua,
Pisar Jawan Ki Laash Pe Hai Mutmain Khara Raha
Ye Wo Khalil-e-Karbala Hussain Hai
Apne Khoon Ka Ghusal Mila,
Kafan Hai Jiska Khaak-e-Karbala
Dafan Behan Na Kar Saki Hai Dhoop Mein Para Raha
Ye Wo Ghareeb-e-Karbala Hussain Hai,
La Ilaha Illah Muhammadur Rasool Allah,
Ki Laazawal Darsgah Hussain Hai