Ussay Zainab Ka Jab (x2) Bazaar Jaana Yaad Aata Hai.
Koyi Ghumkhwar Ghaibat Main Mayyasar Hee Nahi Usko (x2)
Suttan Ghaayee Main Haar (x2) Noha Woh Khud Ko Hee Sunata Hai.
Un Hee Galiyon Main Chal Chal Kaar Jahan Chalti Rayhi Zainab (x2)
Nishaan Zainab Kay Qadmo(x2) Kay Woh Haathon Say Milata Hai.
Baqiye Main Sada-e-ay Wah Hussaina Goonjh Uthti Hai (x2)
Woh Jab Bhi Qabr-e-zahra (x2) Aakay Seenay Say Lagata Hai.
Nayhi Thamgay Hain Uski Aankhon Say Aansu Kisi Soorat (x2)
Ussay Baysheer Ka (x2) Jab Muskurana Yaad Aata Hai.
Pidar Ki Godh Ki Khaatir Sakina Jab Bhi Roti Hai (x2)
Woh Loree Baap Kay (x2) Lehje Main Beti Ko Sunata Hai.
Khayal Aata Hai Jab Bhi Parda-e-zainab Ka Mehdi Ko (x2)
Kabhi Talvaar Paar (x2) Woh Haath Rakhta Hai Hatata Hai.
Woh Hujjat Hai Us Hee Ka Kaam Hai Is Dard Ko Sehna (x2)
Kisi Khakee Kay Dil Main (x2) Kaun Yeh Ghum Kab Samaata Hai.