Khair Ul Wara Ki Beti Ko Darbar

Khair ul wara ki beti ko darbar bula ker mara geya madinay main

Sani)
Aliya Bibi ko is kay baba kay minber say jhooti keh ker bhi pukara geya Madinay main .

Antra)
Touheed kay badan ki toheen bhi hui hai kuch is tarah logo
Baandh ker rasiyon say jahan chaltay thay Sher e Khuda inhi rasto say guzara geya Madinay main .

Antra)
Saya na koi gumbad chand pathron kay neechay turbat hai Fatima ki
Ghair say kaisa gila rota hoga Baqiya main wo koi momin jo bechara geya Madinay main .

Antra)
Tooti hui pasliyon ko Jab daikhti thi Zahra roti thi bain ker kay
Main Sahifa thi wo apnay khaliq ki taharat ka jis ko Sarwar pay utara geya Madinay main.

Antra)
Touqeer bhool gaye sub anbiya ki aabroo thi muqeem jis jaga per
Lakriyan lae gaen ghar tou jalna tha wo lekin pehlay dar ko bhi ukhara geya Madinay main.

Antra)
Salman aur Fiza mojood thay wahin per wahin Ya Ali kharay thay
Samnay baito kay cheen ker Fatima say virsa jab tha tehreer ko phaara geya Madinay main.

Antra)
Gayoor maa ka baita mar jata tamacho kay gham ko kaisay bhulata
Rooth ker aisa Samar nikla Shabir Madinay say lout ker phir na dobara geya Madinay main .

Shared via Nohay Writeups for iOS

675 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot