Khaa Gaya Sani e Zehra Ko Alamdar Ka Gham
Khooni Maqtal Mein Ridaon Ke, Nigedaar Ka Gham
Zinda Jab Tak Woh Raha Dekha, Na Dukh Ham Ne Koi
Na Kabhi Apni Ridaon Ki, Hamein Fikr Hui
Ab Toh Beparda Haram Dekhenge Bazar Ka Gham
Laashe Akbar Ko Uthaya, Dafn Asghar Ko Kiya
Tukrhey Qasim Ke Chuney Phir Bhi Sabar Karta Raha
Maar Syed Ko Gaya Fauj, Ke Salar Ka Gham
Ro Ke Fizza Se Yeh Kehti Thi, Ali Ki Beti
Mere Qadmon Se Nighaa Jisne, Uthayi Na Kabhi
Kaise Bhulungi Bhala Aise, Hayadaar Ka Gham
Koi Chaader Na Koi Chehra, Chupane Ko Naqab
Maarta Hai Lab e Shah Pe Woh, Charhi Pi Ke Sharab
Maut Se Kam Toh Nahi Shaam, Ke Darbar Ka Gham
Haaye Mohsin Woh Garam Rait, Pe Soney Wali
Zakhm Sajjad Ke Ashqon Se, Woh Dhoney Waali
Saath Turbat Mein Gayi Leke, Wafadar Ka Gham
Shared via Nohay Writeups for iOS