kabhi kabhi mai ye sochta hoo kabhi kabhi mai
adam ko jisne wujood baksha
wujood ko phir namood baksha
namood ko taazgi ata ki
ata ki hadh hashr se mila di
har ek zarre ko zindagi di
shaoor ko jisne aagahi di
woh jiska har shey pa naam hai kandah
wo kaun hai jiska mai hoo banda
kabhi kabhi mai….
ye aasma ye barasta saawan
ye lehlehata mehakta gulshan
ye sabza-o-gul ka narm bistar
ye kehkashan ki haseen chadar
ye chand suraj chamakte taare
haseen khudrat ke ye nazaare
damakte kiski chaah may ye
mehakte hai kiski raah may ye
kabhi kabhi mai….
wo noor jisme hai noor uska
wo fehm jisme shaoor uska
wo nafs jisme hai wo samaaya
wo jism jiska nahi hai saaya
jo paaraye noore bebaha hai
tamam aalam ka aasra hai
zameeen pe rehmat ka aasman hai
falak pe kiska wo mehman hai
kabhi kabhi mai….
zameen hai na ke aasman hai
ajeeb aalam ajab saman hai
niha nahi hai na wo aya hai
hai koi maujood par kahan hai
udhar yakeen hai idhar guman hai
bas ek parda sa darmiyan hai
nikal rahe hai ye kiske baazu
simat rahi hai had mano tu
kabhi kabhi mai….
yahan mayane khuda-o-banda
wujood mumkin nahi kisi ka
jahan ke mehman ka saath dene
nabi ke haaton may haath dene
jo noor paykar may dhal raha hai
ye haath jiska nikal raha hai
khuda numaan hai ke ye khuda hai
khuda nahi hai to aur kya hai
kabhi kabhi mai….
mohamade mustufa se pehle
khadam kisi ke yahan na pahunchay
yahan se bhi kuch zara sa aagay
jahan pe jalwe hai lamakan ke
jo nubd ko saaz de raha hai
nabi ko awaaz de raha hai
shanasa lagta hai lehja jiska
ye kaun hai kya hai naam iska
kabhi kabhi mai….
khudaya mujko muaf karde
nnigaah may haq ka noor bhar de
ye pardaye darmiyan utha de
haqeeqate murtaza dikha de
habeeb ka waasta hai tujko
elaahi itna batade mujko
jo tujse mansoob tera dar hai
tera hi hai ya ali ka ghar hai
kabhi kabhi mai….
makaan hai ye tu lamakaan hai
kise pata teri hadh kahan hai
koi nahi aur jis-se poochun
na tujse poochun to kis-se poochun
ghata ki soorat may log ghirke
jidaare kaaba ke gird phirke
ye kisko sajda guzaarte hai
ye kisko aakhir pukaarte hai
kabhi kabhi mai….
ali ka chehra ali ke baazu
ali ki aankhein ali ke gaysu
ali ka jism aur ali ki khusboo
ali ke rag rag may hai rawa tu
har ek karwat har ek pehlu
nahi koi farq sare moo
har ek ada may teri hi khubahoo
hai tu ali ya ali may hai tu
kabhi kabhi mai….
ajab hai banda khuda numaan sa
khuda nahi hai khuda hai lagta
hai milta jhulta kalaam iska
khuda hi jaisa hai naam iska
har ek jaaiz ka noor bhi hai
jala chuka kohe toor bhi hai
hawa jo kaabe se aa rahi hai
ali ali gunguna rahi hai
kabhi kabhi mai….
wujood may jab wo dhal raha tha
mai saath karwat badal raha tha
falak se jab wo zameen pe aaya
mai aaya saath uske banke saaya
wo arsh pe jabke mehmaan tha
wahan pe mai shakle mezbaan tha
kahin pe chora na saath uska
hai kabse haaton may haath uska
kabhi kabhi mai….
nida ye aayi na behko itna
zaban kholo hai ilm jitna
wo bistare noor jispe sokar
wo haath jispe baland hokar
zameen se mai aasman hua hoo
waraaye wehmo gumaan hua hoo
wo asl hai aur usool hoo mai
shareeke noore rasool hoo mai
kabhi kabhi mai….
khuda ke munkir hubal ke bande
kadooratein dil may zehn gandhe
munaafiqat ki naqaab daale
hasad ke tan pe sajaaye bhaale
safon may islam ki sama kar
wujood se zayada khad badha kar
jo kalmaye haq mitaane nikle
hussain sar ko katane nikle
kabhi kabhi mai….
hussain apna jo sar na dete
rahe khuda may jo ghar na dete
sulagte sehra may gar labe joo
na dete abbas apna baazu
jo sar se zainab rida na deti
jo nakshe baatil mita na deti
to jaanta kaun deen kya hai
tarast fathe mubeen kya hai
kabhi kabhi mai….
wo fatema ke jigar ka paara
wo khoon may apne dooba taara
wo bhooka pyasa nidhaal tanha
bashariyat ka kamaal tanha
luta ke raahe wafa may ghar ko
kata ke raahe khuda may sar ko
baqa ke doshay gira ke utha
utha to noke sina pe utha
kabhi kabhi mai….
usoole deen ka kamaal bankar
yazeediyat ka zawaal bankar
madeene se aake karbala may
utarke sehraye nainawa may
jo deene haq baqa ki qaatir
rahe khuda may khuda ki khaatir
hussain ne kul kamayi dedi
khuda ne saari khudayi dedi
kabhi kabhi mai….
ay mehrame raaze kunfaka aa
ay bazme wehdat ke raazdan aa
zameen par haq ke aasman aa
ay mutmayin nafse do jahan aa
tamam raahe saji hui hai
falak ki baahein khuli hui hai
ay marsade do jahan pe cha ja
tu noor hai noor may sama ja
kabhi kabhi mai….
5,338 Views