Jub Say Suna Lehad Main Sakina

Jub say suna lehad main Sakina udas hai..
Sani)
Mazloom e Karbala ka gharana udas hai..

Antra)
Zindaan main ro rahi hai Sakina Hussain ko
Kuch is liye Hussain ka kunba udas hai ..

Antra)
Qaid e sitam main baali Sakina ko chor ker
Sajjad ab zameen pay baitha udas hai ..

Antra)
Baba ko yad kerti wo zindan main mar gae
Sub ker lehad main baat yeh Zahra udas hai..

Antra)
Jis nay sunni hain baali Sakina ki siskiyan
Zindan e sham ka wo andhera udas hai ..

Antra)
Noha Amar Sakina ka likhtay raho Sada
Sultan e Ambia ka nawasa udas hai ..

Shared via Nohay Writeups for iOS

902 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot