Aaye jo qabre fatema pe sayyade anaam
ruksaar rak-ke kabr pe rokar kiya kalaam
sehra may dil ke tukdon ki basti basaunga
amma madina laut ke mai aa na paunga
kaampa falak larazne lagi qabr-e-sayyeda
aayi janab-e-fatema, ki qabr se sadaa
jao mere laal ….
tum pe har qadam rahe dua meri, aur saaya-e-khuda-e-zuljalaal
ja rahe ho tum jo kehke deene haq bachaunga
amma aap ki qasam mai khoon may nahaunga
ab ho jo bhi haal tum ho payemaal
tum pe har qadam rahe dua meri aur saaya-e-khuda-e-zuljalaal
jao mere laal….
bachpane may jo kiya tha wada baba jaan se
waqt ab wo aagaya kafan tu sar se baandh le
dekh mere laal deen ka hai sawaal
kamiyabiyan hai tere saath hi aur saaya-e-khuda-e-zuljalaal
jao mere laal….
chahiye khuda-ke deen ko agar amaan
do rida e zainab-e-hazeen ka sayeban
jao ab shiqab ibn-e-buturab
hai tumhare saath baba jaan bhi, aur saaya-e-khuda-e-zuljalaal
jao mere laal….
de raha hai deen-e-kibriya tumhe sada
al-madad hussain al-madad shah-e-huda
be watan hussain mere dil ke chain
humsafar tumhare saath maa huvi, aur saaya-e-khuda-e-zuljalal
jao mere laal….
shaane ba-wafa ke honge jis gadi qalam
royenge alam ke saaye may tere haram
royegi wafaaaur karbala
royegi faraat aur tashnagi, aur saaya-e-khuda-e-zuljalaal
jao mere laal….
akbar-e-jawan jigar pe khayega sina
maa kahegi mera chand khogaya kahan
uspe nohakhaan honge meri jaan
mai bhi aur hassan bhi aur rasool bhi, aur saaya-e-khuda-e-zuljalaal
jao mere laal….
ye sada mazaar-e-sayyeda se mazhar abidi
sunke rodiye hussain mustafa ki aal bhi
jao mere laal jao mere laal
tumpe har qadam rahe dua meri, aur saaya-e-khuda-e-zuljalaal
jao mere laal….