Jal gayay khaimay humaray reh gayay ghazi kahan
Ro kay zainub yeh pukaray reh gayay ghazi kahan
Aayay na aun o Muhammad/ laut kay maidan say
Kho gayay meray saharay/ reh gayay/ ghazi kahan
Jo tumhari laadli thi/ uss ko mara shimar nay
Uskay bunday bhi utaray/ reh gayay/ ghazi kahan
Bhai kay haatoon pay dekho/ garden-e-baysheer say
Beh rahay hain khoon kay dharay/ reh gayay/ ghazi kahan
Mil chuki hai karbala key/ khaak main sab rooshni
Bujh gayay saray sitaray/ reh gayay/ ghazi kahan
Soochta hai baap ki maie/yat pay aabid yeh khara
Qabar main kaisay utaray/ reh gayay/ ghazi kahan
Tum ko maqtal main sakina/ dhoond ayi har jagha
Kya ho darya kay kinaray/ reh gayay/ ghazi kahan
Kampta hai lasha-e-abbas kashif nehar par
Ro kay jab kehtay hain saray reh gayay ghazi kahan
562 Views