Iss tarha bhai ka chehlum hay kiya zainub nay
Khoon ankhon say diya run main baha zainub nay
Qaid’ say chut kay jo pohnchay hain harm karb o bala
Pusht-e-naqay diya khud ko gira zainub nay
Zalzala qabar-e-almdar main aaya jiss dam
Bhai aayay hay behan dey yay sada zainub nay
Mar gayay qaid main ghut ghut kay sakina tayri
Qabar-e-sarwar pay yay noha tha parha zainub nay
Jabkay run main tha khara deen-e-khuda bay parda
Sar ko islam kay dey apni rida zainub nay
Qalab-e-sajjad main Ghairat say paray hain chahlay
Haal shabir say aabid ka kaha zainub nay
Roey na bayton ko bhai pay rahi girya kuna
Dars-e-qurbani youn dunya ko diya zainub nay
Qabar-e-qasim pay ajab haal main madar thi khari
Janay kis dil say tha yay gham bhi saha zainub nay
Dil main aik nook-e-sinaa ka sa howa tha ehsas
Noha laila say jo akbar ka suna zainub nay
Tham kar apna jigar beht gaien umm-e-rabab
Bhabi ghar jana hai jis dam yay kaha zainub nay
Hashr tak matam-e-sarwar na rukay ga ashhar
Matam-e-shah ha ko dey aisi baqa zainub nay
2,434 Views