nikla jo qaimagah se laila ka maahroo
beti ali ki ashkon se karne lagi wazoo
lehra rahi thi barchiyan maqtal may chaar soo
akbar se keh rahe thay shahe tashnaye guloo
jo haal dil ka hai na sunoge hussain se
jaate hue galay na miloge hussain se
tum ja rahe ho chalti hai seene pe barchiyan
kis tarha jaane doo tumhein naizo ke darmiyan
aaye na zakm chand se seene pe meri jaan
jaane pidar dua bhi na logay hussain se
jaate hue galay na….
jaate ho jao tumko magar ye rahe khayal
seene ke saamne se na hargis hatay ye dhaal
naiza koi kaleje pe aaye na mere laal
tum haale dil bhi keh na sakoge hussain se
jaate hue galay na….
tanha ho tum yahan to wahan laakhon ashkiyan
pyasi tumhari khoon ki baniye jafa
ek shor hai ke aata hai humshakle mustufa
ay chand badliyon may chupoge hussain se
jaate hue galay na….
qaime ka parda uthta hai girta hai baar baar
kis tarha aaye maa ko phupi ko teri kharaar
chaukhat pe baithi sughra bhi karti hai intezaar
hum khat may kya likhay na kahoge hussain se
jaate hue galay na….
tum apne saath baap ki beenayi le chale
quwwat kamar pehle hi abbas le gaye
beta ghareeb baap bhala kis tarha jiye
tum bhi nigahe phair chaloge hussain se
jaate hue galay na….
seena pisar ka choom ke shabbir ro diye
akbar pukare yun mere baba na roiye
aata hoo laut kar abhi qaime may jaaiye
kyun keh rahe ho mil na sakoge hussain se
jaate hue galay na….
barchi jigar pe khake jo akbar guzar gaye
sheh kehte thay samar yehi laashe jawan se
tum bhi pidar se jaate ho ay laal rooth ke
seene se kya uthke lagoge hussain se
jaate hue galay na….
3,531 Views