Aik Shab Hazrat E Sheeren Ny Khawab Kya Dekha
Sarhany Aik Zaeefa Yeh Kar Rahi Hai Buka
Mery Hussain Ny Kal Tujh Sy Kiya Wada
Main Tery Ghar Kabhi Aun Ga Aa Gaya Uth Ja
Jaag Sheeren Jaag Ja Ay Kaneez E Bawafa
Aa Raha Hai Ghar Tery Qafila Hussain Ka
Mery Bachy Ko Sitam Garon Ny Tarhpaya Hai
Dasht Mein Ghair Liya Pani Ko Tarsaya Hai
Haye Is Zulm O Masayeb Mein Usy Yaad Raha
Apna Wada Woh Nibhany Ky Liye Aya Hai
Jaag Sheeren Jaag Ja Ay Kaneez E Bawafa
Aa Raha Hai Ghar Tery Qafila Hussain Ka
Kya Khabar Tujh Ko Mery Ghar Ko Ujarha Haye Haye
Kis Tarha Sy Mery Shabbir Ko Maara Haye Haye
Naiza Akbar Ky Kalaijy Mein Utara Haye Haye
Phir Bhi Bhoola Na Tery Wady Ko Pyasa Haye Haye
Jaag Sheeren Jaag Ja Ay Kaneez E Bawafa
Aa Raha Hai Ghar Tery Qafila Hussain Ka
Pani Leny Ko Gaya Nehr Py Abbas Mera
Chid Gai Mashk Katy Hath Alam Thanda Hua
Mery Bachy Ki Kamar Toot Gai Phir Bhi Usy
Naam Allah Ka Aur Wada Har Ek Yad Raha
Jaag Sheeren Jaag Ja Ay Kaneez E Bawafa
Aa Raha Hai Ghar Tery Qafila Hussain Ka
Giahraween Subho Haram Chorh Chaly Dasht E Kitaan
Rait Lashon Ka Kafan Chehron Ka Parda Huye Baal
Sar Shaheedon Ky Sar E Nok E Sinaan Qaid Haram
Is Ghareebi Mein Raha Un Ko Magar Tera Khayal
Jaag Sheeren Jaag Ja Ay Kaneez E Bawafa
Aa Raha Hai Ghar Tery Qafila Hussain Ka
Do Pisar Zainab E Dilgeer Ky Qurban Huye
Haye Bin Pani Ky Woh Phool Bhi Bey Jaan Huye
Sary Paimaan E Wafa Poory Huye Maqtal Mein
Ab Tery Aaqa Tery Shehar Mein Mehmaan Huye
Jaag Sheeren Jaag Ja Ay Kaneez E Bawafa
Aa Raha Hai Ghar Tery Qafila Hussain Ka
Ho Gai Poori Tery Dill Ki Dua Jag Zara
Hai Yehi Teri Wafaon Ka Sila Jaag Zara
Ghar Ka Har Gosha Aza Khana Bana Dy Uth Kar
Tera Aaqa Tera Mehman Hua Jaag Zara
Jaag Sheeren Jaag Ja Ay Kaneez E Bawafa
Aa Raha Hai Ghar Tery Qafila Hussain Ka
Ro Diye Mazhar O Irfan Riwayat Parh Kar
Khawab Jab Poora Hua Jaag Uthi Nayk Seyar
Pahunchi Darwazy Py Dill Pakrhy Huye Tashna Jigar
Di Khabar Ahl E Mohalla Ny Usy Yeh Aa Kar
Jaag Sheeren Jaag Ja Ay Kaneez E Bawafa
Aa Raha Hai Ghar Tery Qafila Hussain Ka
2,830 Views