Aayi Jo Chuth Ke Qaid Se
Aayi Jo chuth ke qaid se zehra ki laadli
Aakar mazare ahmade mukhtaar par giri
Baalo ke rang se hi zayeefi thi aashkaar
Kehti rahi ghamo ki satayi ye baar baar
Nana suno sunaungi maqtal ki dasta’n
Qabr e nabi pe Zainab e muztar ka tha baya’n
Nana suno sunaungi maqtal ki dasta’n
Nana Mai kuch hi door khadi dekhti rhi
Sukhe gale pe bhai ke chalti rhi churi
Naiza laee’n dikha ke darate the Nana Jaa’n
Na suno sunaungi maqtal ki dastan
Jite ji le na payi wo ek saans chain ki
Nana yatim ho gayi beti Hussain ki
Had to ye hai ke cheeni gyi uski baliya’n
Nana suno sunaungi matqal ki dastan
Nana suno wo chota sa bachcha Hussain ka
Ghutno ke bal bhi chalne ke Qabil Nahi Raha
Pyasa hi Haye mar gaya le le ke siskiya’n
Nana suno sunaungi maqtal ki dasta’n
Nana hamare auno Mohammad nhi rahe
Nusrat me Shahe wala ki dono hi mar Gye
Tuta hua hai Dil pe masayeb ka asma’n
Na suno sunaungi maqtal ki dastan
Pala tha jisko Naz se 18 Saal Tak
Nana Lahu Me Dub Gaye Uske Baal tak
Sine Me Aise Mari Thi Zalim Ne Barchiya’n
Nana Suno Sunaungi Maqtal Ki Dasta’n
Sajjad ke siwa koi Mardon me tha nhi’n
Bahere madad bulati kise khwahar e hazi’n
Abbas e bawafa bhi nigahon se tha neha’n
Nana suno sunaungi maqtal ki dasta’n
Nana suno wo shame ghariban ki dasta’n
Her simat dikh rha tha nigahon Ko bus dhua’n
Bikhraye baal khaq pe baithi thi bibiya’n
Nana suno sunaungi maqtal ki dasta’n
Ek ek kr ke saare jalaye Gaye khayam
Usme padha hua tha mera waqt ka imam
Bekas yatim e Abid e bimar e natawa’n
Nana suno sunaungi Maqtal ki dasta’n
Qabr e Nabi Laraz Gayi Zainab ke Sun Ke Bain
Kaise milega Aamir o Farhan Dil Ko Chain
Lagta hai Dil me tut gayi Dard ki sena’n

 

https://youtu.be/Yp4CjZe-c3s
1,933 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot