Hur Zara Pehchaan Mujhko Bolta Quran Hun Main.
Marzeeyay Rab-e-Jalee Hoon, Dard Ka Sultan Hoon Main.
Tu Mere Bachpan Ka Wada Manga Ta Tujhko Khudah Se
Tera Aana Karbala Mein Likha Hai Meri Raza Se
Tu Bahattar Main Hai Shamil Hurr Teri Pehchaan Hun Main.
Main Hussain Ibn Ali Hun Malik-e-Khuld-e-Bali
Muthi Main Dariya Hai Meray Bekafan Piyasa Nehi Hun
Hurr Meray Seenay Seh Lag Ja Aaj Ka Mehmaan Hun Main.
Dheen Hai Meray Karam Pe Anbiya Ki Laaj Hun Main
Ab Khudah Ko Fiqr Kaisi Karbala Mein Aaj Hun Main
Yeh Zameen Mere Shahdat A Ilaha Ki Aan Hun Main.
Jung Hoti Agere Gawara Bhejta Abbas Ko Main
Kuch Na Rehta Karbala Mein Khatam Karta Pyaas Ko Main
Haq O Ki Batil Ki Larai Main Main Bhi Aik Maidzaan Hun Main.
Sir Mera Naizay Pe Hogi Saath Chadar Bhi Hogi
Balon Ka Parda Banaye Awn Ki Badar Bhi Hogi
Mujh Pe Ehsaan Hai Zainab Deen Pe Ehsaan Hun Main.
Dekhna Hurr Meray Ghum Har Jagah Matam Bhi Hongay
Khoon Jismo Se Bahein Ge Momino Mein Hum Bhi Hongay
Hun Azadar Ka Maula Nanay Ka Farman Hun Main.
Kufr Kay Rastay Chala Tha Aabay Kauser Mil Gaya Hai
Raat Mein Shahroz Hurr Ko Roz-e-mehshar Mil Gaya
Hurr Ki Kia Taqdeer Badli Aaj Bhi Hairaan Hun Main.