●Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai
●Jab huye bazue Abbas qalam darya per
Gir ke thanda hua hazrat Ka alam darya per
Garq e khoon hogaya wo behr e karam darya per
Gul tha zakhmi hua saqai haram darya per
Mushk ko danton mai pakre hui yun laata hai
Dahn e sheer mai jis tarha shikar aata hai
●Algarz lasha Abbas pe aye mola
Sar ko zaano pe rakha aur yeh ro ro ke kaha
bhai to aj hamein keh do khudara bhaiya
Nazh mai bhai ko Abbas ne Bhai bola
akhri sansein li aur dar e fana chor diya
bhai ne bhai ki agosh mai dam tor diya
●Abbas haye Abbas, Abbas haye Abbas
Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai
●Pardais mai luti gayi,Haider ki kamai
Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai
●Sheh ne yeh kaha lashai saqai haram
Baba ki tarha tum bhi juda hogaye hum se
Do baar yateemi meri behno pe hai ai
Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai
●Mazloom se maqtal mai chala hee nh jata
Jab khaak pe girte hai utha bhi nahi jaata
Ghazi ki shahadat ne qamar aisi jhukai
Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai
●Bachi ne kaha shah se farz apna nibhao
Nazdeek ager hai koi basti to mai jaon
Amun ke kafan ke liye ker lungi gadai
Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai
●Abbas ke bachon se mai sharminda rahunga
Maqtal se utha lasha,her aik Ka lasha
Afsos ke Abbas ki,mayat na uthai
Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai
●Khat khaak pe dete thy,qadam Zain se jis ke
Maidan mai us shair ke,itne hui tukre
Sajjad ne chadar mai wo,mayat hai uthai
Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai
●Darya bhi tarapne laga yeh dekh ke manzar
Yaad ane laga seena e ham shakal payamber
Jab mashk kate hath se mola ne churai
Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai
●Sadyon se hai taari ye fizaa ranj o alam ki
Yeh chaand jo aujhal hua nazron se haram ki
Phir sani zehra kahan Eid manai
Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai
●Amun ki judai pe bohat roye hai baba
Samjhati hai ro ro ke yeh bachon ko sakina
Ab dena nahi koi bhi,pani ki duhai
Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai
●Har matmi seene mai bapaa hoga talatum
Is Saal tera jana,to mushkil hai taqallum
Nohay ki magar karb o bala tak hai rasai