Haye Sayyeda Zainab, Jaane Karbala Zainab

Haye Sayyeda Zainab, Jaane Karbala Zainab
misle bawafa zainab, oo gare jafa zainab

jinn-o-ins rote hai, keh ke jaan khote hai
wa musibata zainab, haye sayyeda zainab

bani-e-aza zainab, pehli zakira zainab

zulm-o-jaur sehne ki, ibteda tu ma ne ki
tu hai inteha zainab, haye sayyeda zainab

raat ke andhere may, dushmano ke ghayre may
dhoondti hai kya zainab, haye sayyeda zainab

dard-o-gham uthane ko, bangaya zamane ko
tera naksh-e-pa zainab, haye sayyeda zainab

kitne raah may bichre, kya kya haadse guzre
zulm sab saha zainab, haye sayyeda zainab

ay anees-e-zi zainab, dard ki makeen zainab
haye sayyeda zainab, haye sayyeda zainab

849 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot