Hai Sab Ki Jholiyon | Nohay Online

Shaam haye shaam
hai sab ki jholiyon may pathar ye kaunsi basti hai fizza
hota hai charagha kyun ghar ghar ye kaunsi basti hai fizza
shaam haye shaam

poocho to zara amma insay kyun dekhne humko aatay hai
har simt khushi ka aalam hai bazaar sajaye jaate hai
kyu eid ke jaisa hai manzar ye kaunsi basti hai fizza
shaam haye shaam

hai sab ki jholiyon…

sajjad ke aankhon se ab tak aansu hi baraste dekhe thay
ab dekh rahi hoo mai uski aankhon se musalsal khoon behte
poocho to kisi se ye jaakar ye kaunsi basti hai fizza
shaam haye shaam

baaghi aaye baaghi aaye ye kaisi manadi hoti hai
lagta hai zamane baad koi is shehr may shaadi hoti hai
kuch aisay baam o dar ye kaunsi basti hai fizza
shaam haye shaam

hum sab ke saro se behte hai kis waaste ye khoon ke dhaare
koi khaulta pani phayk raha hai koi phaynk raha hai angaray
sab mil kar maarte hai pathar ye kaunsi basti hai fizza
shaam haye shaam

waada jo kiya tha yasrab may aata hai yaad wohi waada
mehsoos mujhe ye hota hai takta hai koi mera rasta
kya shireen ka hai paas may ghar ye kaunsi basti hai fizza
shaam haye shaam

quran sunaye jaate thay shabbir sare noke naiza
rota tha takallum ibne ali jab poochti thi binte zehra
kyun girta hai abbas ka sar ye kaunsi basti hai fizza
shaam haye shaam

543 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot