Gham Sakina Ko Milay

gham sakina ko milay itne musalmano se
mar gari par na kabhi haath hatay kaano se

shaam jaate hue naaqe se giri yun bachi
mashk ghazi ki giri jaise katay shano se
gham sakina ko milay….

chaunk uth-ti thi madine may ye keh kar bano
koi awaaz mujhe deta hai veerano se
gham sakina ko milay….

kitni berahmi se zaalim ne utaare wo gohar
sheh ne beti ko jo pehnaye thay armaano se
gham sakina ko milay….

mujhko kurte may hi dafnana sakina ne kaha
mat kafan maangna ay bhai musalmano se
gham sakina ko milay….

koi ghairat may unhe dekh ke khoon rota hai
jiska behta hai lahoo aaj bhi jin kaano se
gham sakina ko milay….

sab chale jaate hai shabbir ko rokar akbar
ek bachi nahi jaati hai azakhano se
gham sakina ko milay….

1,043 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot