Embark on a Spiritual Odyssey: Join Our Journey from Iran to Iraq.

Ghar Jalaya Hai Jaffar Ka

Ghar jalaya gaya hai Jafer a.s ka
Jaise Zahra s.a ka Dar jalaya tha

1) Yaad aaney lagi shab e ashur
Phir Madina bana hai Karbobala

2) Ghar mein Saidaniyan s.a bhi theen maujood
Phir wo manzar tha shaam e ghurbat ka

3) Kyun Ghareeboun ka ghar jalatey ho
Kya musalmaa’n nahi hai Khauf e Khuda s.w.t

4) Dushmani kya hai Aal e Ahmed a.s se
Phir Muhammad s.a.w ko kyun rulaya gaya

5) Youn giraftar kaun karta hai
Kyun musalley se hai ghaseeta gaya

6) Haye Maula Imam e Sadiq a.s ko
Zehr dekar Shaheed kar dala

7) Ye yateemi ki shab hai Kazim a.s ki
Phir se Zahra s.a hein aaj mehv e buka

8) Qabr mismaar misl e Zahra s.a hai
Aur roney pe bhi hai pehra laga

9) Kaise Akhtar bayaa’n ho wo manzar
Ibn e Baqir a.s ka jab janaza uthha

 

1,263 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot