Bewa Shabbar Ki Ro Kar Pukari Mere Bachchay Ki Aati Hai Mehndi
Loag Karte Hain Kyun Aaho Zaari
Mere Bachchay Ki Aati Hai Mehndi
Koyi Dulha Ki Phupiyon Ko Laao
Unki Choti Chachi Ko Bulao
Dair Hoti Hai Jald Aao Wari
Mere Bachchay Ki Aati Hai Mehndi
Jaake Kehdo Ye Shah-E-Zaman Say
Koyi Sughra Ko Laae Watan Say
Jaaein Akbar Maangaye Sawaari
Mere Bachchay Ki Aati Hai Mehndi
Jaake Sher-e-Khuda Ke Nawasein
Kehde Dulha Ke Chote Chacha Say
Ghar Mein Shaadi Ki Rasme Hai Jaari
Mere Bachchay Ki Aati Hai Mehndi
Sunti Ho Fatima Ki Khunzaadi
Ghar Mein Do Bhaiyon Ke Hai Shaadi
Aaj Jaagi Hai Kismat Tumhari
Mere Bachchay Ki Aati Hai Mehndi
Koyi Qabre Hassan Par Ye Kehna
Dekto Jaaein Bete Ka Sehra
Un Ki Furqat Mein Aansoon Hai Jaari
Mere Bachchay Ki Aati Hai Mehndi
Meri Baali Sakina Kahan Ho
Kyun Nigahon Se Ab Tak Nihaa Ho
Neig Lejaoo Bano Ki Pyaari
Mere Bachchay Ki Aati Hai Mehndi
Ay Wazir Ek Mehshar Bapa Tha
Sune Wala Har Ek Ro Raha Tha
Maa Jo Kehti Thi Ba Aaho Zaari
Mere Bachchay Ki Aati Hai Mehndi