Bay dard musalamaan to khushiyan mana rahai hain.
Arbo ajam kai Mola dunya sai ja rahai hain.
1) Kuch to laihaaz kertai damaad-e-Mustafa ka
Sajdai main jo Ali pai hy zulm dha rahai hain.
2) Ahmed kai baad Zahra ab chal perhai Ali bhi
Asaar Panjatan ke zalim mita rahy hain.
3) Balon ko kholai Zainab Kulsoom ro rahi hain
Ghar ghar charage Kufi shami jala rahai hain.
4) Barsai gain teer paiham taboot per Hassan kai
Mola yeh waqat-e-aakhir ro kai bata rahai hain.
5) Niklai gain aag lai ker kuch log saqifa sai
Sadaat kai gharon ko ab tak jala rahain hain.
6) Tu seekh ghar main chalna woh shaam ka safar hai
Teri qaid kai zamanai nasdeeq aarahain hain.
7) Mola kai janazai per Jibreel ro kai bolai
Sarkaar-e-Ambiya kai gham khaar ja rahain hain.
Bay dard musalamaan to khushiyan mana rahai hain.
Arbo ajam kai Mola dunya sai ja rahai hain.
2,103 Views