Batlaiye Ye Kaisi Aseeri Hai Phuphi Jaan
kya mere muqaddar may tha ye sham ka zindan
kya khaak udati hai jahan sham se wehshat
har suboh tapakti hai jahan baam se wehshat
hoga isi zindan mere dafn ka saaman
batlaiye ye….
ye raat ye tanhayi ye khamoshi ye ghurbat
amma isi goshay may banana meri turbat
kya meri tarha se meri ho qabr bhi veeran
batlaiye ye….
amma ho kahan kuch bhi dikhayi nahi deta
haaton ko mere haath sujhaayi nahi deta
aisa hai andhera ke khata hai ausaan
batlaiye ye….
wo sham tamachon bhari ruqsat hui amma
daman jale gowhar chine muddat hui amma
hai aaj talak dard se dukhte hai mere kaan
batlaiye ye….
socha tha ke zindan se reha jab bhi mai hoongi
jaungi madine ko mai sughra se miloongi
lagta hai magar yahan se rehaai nahi aasaan
batlaiye ye….
pur shor naved itna hai jitna hai ye sunsaan
ek qabr ke hote hue ye sham ka zindan
aabad kahan baad hai veeran ka veeran
batlaiye ye….