Ay Zaafare Jin Aap Bhi Laye Thay Wahan Par

Ay Zaafare Jin Aap Bhi Laye Thay Wahan Par
kya aapne dekha
ashoor ke din lut gaya zehra ka bhara ghar
kya aapne dekha

zainab ke pisar neemchay haaton pe uthaaye
aur khoon may nahaye
darya ki taraf puhst kiye margaye dilbar
kya aapne dekha
ay zaafare jin….

qaimay may kahin kya koi masnad bhi bichi thi
dulhan bhi khadi thi
jab kholi gayi laashaye nowshah ki chadar
kya aapne dekha
ay zaafare jin….

allah re wo saniye hyder ba alamdar
wo sheh ka wafadar
kis tarha ghoday se gira be-dast zameen par
kya aapne dekha
ay zaafare jin….

suntay hai ke barchi may kaleja nikal aaya
saktay may hai dunya
khenchi hai sina shah ne jo ya ali kehkar
kya aapne dekha
ay zaafare jin….

baysheer ka khoon lene se inkar kiya hai
jab arz-o-saman ne
tab sheh ne mala chehre pe khoone ali asghar
kya aapne dekha
ay zaafare jin….

mazloom ke seene pe tha sawaar sitamgar
tha hashr ka manzar
aur khushk galay par tha rawan shimr ka khanjar
kya aapne dekha
ay zaafare jin….

jab phail gayi charon taraf shame ghariban
mahol tha giryan
bachi koi baba ko sada deti thi rokar
kya aapne dekha
ay zaafare jin….

bemaar ka bistar ho ke baysheer ka jhoola
sab jal gaya wallah
shahid na tha is zulm ka koi bhi wahan par
kya aapne dekha
ay zaafare jin….

402 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot