Ay sheh ke alamdar, ay sheh ke alamdar alamdar
ay zay ghame hyder, ay hyderi talwar alamdar
roti hai behan teri aa dekh mere ghazi
hai dard bhara manzar chaadar bhi nahi sar par
hai majmae kuffaar, ei sheh ke alamdar alamdar
ay sheh ke alamdar….
ye khoon bhara parcham karta hai tera matam
qaimo se dhuwa utha ay bhai mere aaja
faujo ki hai yalghaar, ei sheh ke alamdar alamdar
ay sheh ke alamdar….
faryaad meri sunlo darya se chale aao
tum de chuke qurbani dar kaari nahi paani
jeena huwa dushwaar, ei sheh ke alamdar alamdar
ay sheh ke alamdar….
tum baazue sarwar thay shabbir ka lashkar thay
zainab ka bharosa thay bachon ka sahara thay
hoti hoo dilafgaar, ei sheh ke alamdar alamdar
ay sheh ke alamdar….
amma ka chaman ujda pardes may ay bhaiya
mai dasht may tanha hai char taraf aada
marjaaye na bemaar, ei sheh ke alamdar alamdar
ay sheh ke alamdar….
masoom sakina hai garmi ka mahina hai
do boondh nahi pani hone ko hai zindani
mehshar ke hai aashaar, ei sheh ke alamdar alamdar
ay sheh ke alamdar….
jhoole may nahi asghar lori de kise maadar
darwaza-e-qaima par kehti hai wo ro ro kar
mai kisko karoo pyar, ei sheh ke alamdar alamdar
ay sheh ke alamdar….
bachon ko hoo mai royi keh sakta nahi koi
wo bhaai ka sadkha thay bas isliye zinda thay
kya unse saropaar, ei sheh ke alamdar alamdar
ay sheh ke alamdar….
jaati hoo sare zindaan ay bhaai sare uriyan
bazu hai rasan basta purkhaar bahot rasta
nazron may hai darbaar, ei sheh ke alamdar alamdar
ay sheh ke alamdar….
akbar ne sina khaayi mujko na ajal aayi
seena hua do-paara naizo se usay maara
mai uski hoo ghamkhaar, ei sheh ke alamdar alamdar
ay sheh ke alamdar….
mai laut ke aaungi markhad bhi banaungi
mai doongi kafan tujko mohlat de agar mujko
ay mere wafadaar, ei sheh ke alamdar alamdar
ay sheh ke alamdar….
rehaan kalam roya jab lik chuka ye nowha
majlis may hua matam jab aaya tera parcham
rote thay azadaar, ei sheh ke alamdar alamdar
ay sheh ke alamdar.…
1,537 Views