ay maa tu mujhe paas bulaa lo mujhe pyaas sataati hey
turbat se ali asghar ki, awaaz ye aati hey
1) yaad aaye bohot mujhko tehra jhoola jhulana
hyy, kabhi seene se laga ke tera lori sunana
jab rait garam pyaari maa meray tan ko jalaati hay
2) hyy pyaas ki shiddat se gala sukha parha hey
hyy, hay zakhmi gala usme ay maa dard barra hay
turbat me akela houn mey tanhaai daraati hay
3) jhule mey parha asghar din raat hay roya
hyy, jab pyaas bujhi iski to phir cheyn se soya.
maqtal mei sakina phir kyun issay dhoond ne jaati hay
4) darwaaze pe khaima ke ye eik bibi kharri hay
hyy, mur mur ke jo maqtal ki taraf dekh rahi hay.
eik khoon bharey cholay ko aankhon sey lagaati hay
5) wo sham e ghariba ko ajab zulm huwa tha.
hyy, sar nange thi har bibi har eik khaima jalaa tha
abbas ka saaniy-e-zahra hyy farz nibhaati hay
6) akhtar ye hawaaoo ne jo paighaam diya hay.
hyy, asghar tujhe sughra ne bohot yaad kiya hay.
ik baar madinay aao bemaar bulaati hay
787 Views