Aao bataoon tum ko kehti hai Karbala
Kaisa hai dil yeh maan ka kaisa hai hosla
1. Yeh maan hai umme laila akbar jawan ki, Betay ka toot-tay dam jo dekhti rahi Balon pe khoon pisr ka jisne laga lia
2. Ek aun ek Muhammad jo dil ka chain thay Pala tha unko shayad aashoor keh liyay Zainab ne laal dono deen per diay fida
3. Gathri khuli to maan ka taqseem tha jiger Tukroon pe laal pe jab is ki pari nazar
4. Chay maah keh pisr ko kehti rahi Rubab (AS) Maidaan main muskurana aye mere maahtab
5. Sab maaaon se hai afzal maadar husain ki Betay ka saaf maqtal baalon se kar gayi Godi main sar kata hai jis k Hussain ka
6. Yeh maan hai paakdaman muslim ki noha gar Koofay se laal jiske aaye na lot kar Ghazi keh baad parcham jis ne utha lia
7. Yeh noha in bahadur maaon keh naam hai Jawad karbala ka un un ka salaam hai Sadqay main un keh payi islam ne baqa