Awaaz To Day Akbar, Hy Awaaz To Day Akbar
Girta Huwa Uthta Huwa, Aa To Gaya Hun Mein Magar, Gum Hogaya Noor-e-Nazar
Tu Nojawan Hai Akbar, Aur Hai Zaeef Baba
Kaisay Uthaoon Mayyat, Mujh Ko To Bata Dai Itna
Jaana Hai Ab Khayyam Tak, Kaisay Karoon Main Ye Safar, Kham Hogayee Meri Kamar
Aayee Sada Jidher Sai, Main Uss Taraf Bharun Ga
Awaaz Suntai Suntai, Tujhay Ran Main Dhoond Hee Lun Ga
Tu Hai Jidher Pyaarai Merai, Dheerai Sai Yeh Kehtay Huwai, Baba Idher Baba Idher
Sughra Ke Naamaghar Ko, Khat Ka Jawab Kya Dun
Jo Muntazir Hai Us Ko, Barchee Ka Haal Suna Dun
Rastay Sai Ab Nazarain’ Hata, Maara Gaiya Bhai Tera, Kya Bhej Dun Us Ko Khabar
Teri Sada Ko Sun Ker, Woh Phir Sai Jee Uthay Gi
Hamsheer Teri Warna, Shayad Nahi Jee Paayai Gi
Seenay Ki Barchi Thaam Kai, Sughra Ko Us Kai Naam Sai, Ik Baar Himmat Jor Ker
Barchi Sai Bas Kaleja, Tera Nahi Chidda Hai
Maqtal Main Fatima Nai Dil Apna Thaam Liya Hai
Bhai Hassan Nana Nabi, Baba Ali Dadi Teri, Moujood Hain Sab Hi Idher
Kaisai Bayaan Karun Main, Woh Dardnaak Manzar
Saktay Main Thi Khudayaee, Rota Tha Sara Lashkar
Jab Fatima Kai Laal Nai, Hathon Pai Lai Ker Khaak Sai, Rakh Ker Kaha Zaanon Pai Sar
Laashey Kai Dono Janib, Baithi Hain Maaein Dono
Seeney Kai Bosai Dai Kar Laiti Hain Balaein Dono
Zainab Idhar Laila Idhar, Choomai Tera Zakhmi Jiger, In Sai To Koee Baat Kar
Takra Rahi Hai Har Su Khaimai Main Um-e-ZLaila
Usko Pata Chala Jab Aya Hai Tera Lasha
Teri Maut Ki Sun Kar Khabar, Girta Nahi Khaimay Ka Dar, Aaisa Huwa Uspar Asar
Akbar Janabe Akbar Khamosh Ho Gaey Thay
Shabbir Sar Jhukaey Lashay Kai Paas Kharey Thay
Zainab Kabhi Laila Kabhi, Behnain’ Kabhi, Kabhi Naamawar, Kehta Raha Yeh Sara Ghar