aaram kahan haye haye aaram kahan
dashte aalam may zainab ko bhala, aaram kahan
qatl shabbir bhi abbas bhi akbar bhi huve
kat gaye aun-o-mohamad ke bhi maqtal may galay
laasha-e-ibne hassan ho gaya paamale jafa
aaram kahan….
teer jab asghar-e-masoom ki gardan pe laga
deti thi qaime ke dar pe khadi bano ye sada
bin tere chain mily kaise mere mahelakha
aaram kahan….
chid gayi mashke sakina labe darya afsos
be-kafn khaak pe hai sher ka laasha afsos
pyase bachon ka koi chahne wala na raha
aaram kahan….
chin gayi sar se rida jal gaya asbaab tamaam
bade shabbir na-mudaar huvi kaisi ye shaam
khoon kano se baha bachi ka daman bhi jala
aaram kahan….
sar shaheedo ke sare nauke sina qaid haram
ek do ka nahi seene may bahattar ka hai gham
bediyan pehne huve laaghiro beemar chala
aaram kahan….
koi maara gaya talwar se naize se koi
laash maqtal may kisi dulha ki pamaal hui
hogaye bazu-e-abbase alamdar juda
aaram kahan….
ro ro kehti hai sakina mere ammu aao
mujko maare na layeen aake inhe samjhao
kyun nahi sunte ho deti hoo tumhe kabse sada
aaram kahan….
qafela jaata hai aab shaam ke baazaro may
chalte hai ahle haram zulm ke angaro may
har kadam hoti hai beemar par ek taaza jafa
aaram kahan….
bache jo khaak pe girte hai kuchal jaate hai
gham se dil maa-on ke seene se nikal jaate hai
koi sunta nahi bewaon ki faryad-o-buka
aaram kahan….
aankh roti hai qalam likhta hai noha rehaan
hai karam mujhpe shahe karbobala ka rehaan
nowha jab tak na likhoo roz shahe deen ka naya
aaram kahan….
3,476 Views