Aao Matam Karein
aao matam karein aao matam karein
zebe farshe aza hogayi sayyeda
aansuon ki rida rukh pe daale huve
aakhri chi ki ye dil sambhale huve
gham ki tehzeeb may khud ko dhaale huve
tum ho sadiyon se ye dard paale huve
zeenate lab rahe zikre karbobala
aao matam karein…
rok sakta nahi jabr dena tumhe
hai payambar ka haasil waseela tumhe
daad deti hai jannat se zehra tumhe
haq ne baksha hai gham ka saleekha tumhe
rooh ka faisla zehan o dil ki sada
aao matam karein…
shamiyon ke sitam bhool sakte nahi
sabr shahe umam bhool sakte nahi
daastan e alam bhool sakte nahi
aale ahmed ka gham bhool sakte nahi
damane rooh par naqsh hai karbala
aao matam karein…
laash qasim ki tukde huwi dasht may
qalbe akbar pa barchi lagi dasht may
nanhe asghar ki gardan chidi dasht may
hogaye qatl abbas bhi dasht may
lut gaya dasht may gulshane fathima
aao matam karein…
choor zakhmo se hai fathima ka pisar
hai jabeen sajdaye haq may qam farsh par
kund khanjar se kat-ta hai pyase ka sar
khoon chehre pe malte hai khairul bashar
az zameen ta falak ab hai shore buka
aao matam karein…
ab padar ko sakina kahan paayegi
kiske seene pe bachi ko neend aayegi
yaad baba jab aayenge ghabrayegi
narghaye ahle shar hai kahan jayegi
dhayr lashon ke hai khoon hai bikhra huwa
aao matam karein…
gham-naseebo ke qaime jalaye gaye
farsh par arsh waale bithaye gaye
ek bachi ko durre lagaye gaye
jitne mumkin thay sab zulm dhaye gaye
ek bemaar aahan may jakda gaya
aao matam karein…
aal ka gham magar juzve emaan hai
ashq aayat hai dard quran hai
hashr ka marhala kitna aasan hai
daaghe matam hi bakshish ka saaman hai
jazb karlo usi ashq may karbala
aao matam karein…
774 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot