Amma kab ghar jain gai
Qaid mai kya mar jain gai
Subho parinday jaatay hai
Shaam ko wapas aatay hai
Kya hum bhi ghar jain gai
Amma kab ghar..
Baap ka sar be-peeron mai
Bhai hai zanjeeron mai
Kaisay ly kar jain gai
Amma kab ghar…
Khuwab mai baba aaye thay
Mujhse lipat kar kehte thay
Khud tumhay ly kar jain gai
Amma kab ghar…
Maut ka sar par hai saaya
Aesa lagta hai bhaiya
Qabr banakar jain gai
Amma kab ghar…
Mai nahi hargiz maanugi
Bas ik shart pa jaongi
Ammu ly kar jain gai
Amma kab ghar…
Shaah ka laasha maidan mai
Ahle haram hai zindaan mai
Hum tou yahin mar jain gai
Amma kab ghar…
Mar gayi ik din wo Anwar
Jo ye kehti thi aksar
Qabre Nabi par jain gai
Amma kab ghar…
327 Views