Ali Ki Beti Safar Tera Aaj Se Hay Shroo
Sada janazay se aati thi Shaam jaye gi tu
Kaisa aulad e Muhammad pe ye Ramzan aaya
Masjid e Koofa se ho zakhmi hay Quran aaya
Hain rotay betiyan aur betay dekh behta lahoo
Ali ki beti safar tera aaj se hay shroo
Baad meray ye Musalman rulayain gay tujhe
Sar barahna sar e bazar phirayain gay tujhe
Tera Sajjad bazaron may bahaye ga lahoo
Teri zindagi may to dukh koi na paye Zainab
Teri zindagi ka jo maqsad hay ridaye Zainab
Ye yaad rakhna baad meray meray Ghazi tu
Meri aulad se yun badla Badar ka lain gay
Chadarain lootain gay pani ka na qatra dain gay
Tujhe le jayain gay sar nangay Shaam meray adoo
Ho Madina ya ho Koofa ya ho Karbal ki zameen
Dekhi Sajjad Abu Talib ke khoon se ho rangeen
Bacha hay deen sada inke sajda haey ragoo
Ali ki beti safar tera aaj se hay shroo