●Ali akber ki azaan
●Akber Akber
Allahu Akber, Allahu Akber, Allahu Akber, Allahu Akber
●Subh ashoora hui,maa ne ro ro ker suni, Ali Akber ki azaan
Akhri fajar hai yeh,is moazan ke liye,phir yeh awaaz Kahan
●Dasht mai piyase moazan ne,Jo taqbeer kahi
Agayi apne musalle pe, Ali ki beti,Yaad phir ai use
Apne Baba ki azan,ro pari aun ki maa
●Abhi kuch dair salamat hai,haram Ka parda
Sham ke waqt jab aye gi,azano ki sadaa
Jaan bachane ke liye,sar chupane ke liye,chadarein hongi Kahan
●Ro ke baite ne kaha baap se,hasrat hai meri
Aap ki behan to sun lein gi,sadaa Akber ki
In hawaon se kahein rukh madine Ka karein,meri sughra hai wahan
●Naam aya jo Muhammad ka to roye maula,Inna lillah parha aur yeh ghazi se kaha
Is ko marenge sinaa,yeh musalman bhala,reham khainge kahan
●Aya jab naam e Ali uth ke yeh maula ne kaha,Mai fidaa aap pe Baba meri aulad fidaa
Teer Asghar ke lage,seena Akber ka chida,mujh pe khanjar ho rawan
●Itna tarpe ga Hussain ibn e Ali ae beta,Teri maa ,teri phuphi,teri sakina sughra
Jee nahi payein ge sabhi,tujh ko barchi Jo lagi,tujh mai hum sub ki hai Jaan
●Masjid e kufa nazar ane lagi karb o bala,do azano pe bohat royi hai bint e zehra
Aaj tak bhuli nahi ik baba ki azan,ik Akber ki azan
●Kis qadar dard mai doobi thi sadaa Akber ki,gash se uth ker kaha Sajjad ne batlain phuphi
Sub kyun rote hain yahan,shor hai kaisa bapaa,kon deta hai azaan
●Kesay manzar ho bhala mir taqallum wo raqam,bab e sa at pe huin 17 azane jis dam
Sun ke ik ik azaan,ro ke kehti thi wo maa mere Akber ho kahan