Haye
Haye Jis Waqt Gira Zeen Say Hamshakal E Payambar
Shabbir Ko Zainab Nay Sada Di Yeh Tarhap Kar
Akbar
Akbar Kay Janazay Pay Mujhay Lay Chalo Bhaiya
Hum Mil Ky Utha Len Gay Jawan Laal Ka Lasha
Akbar Kay Janazay Pay Mujhay Lay Chalo Bhaiya
Atthara Baras Walay Ka Sar Goud Mein Lay Kar
Main Naad E Ali Parhti Rahun Gi Ay Baradar
Tum Seena E Akbar Sy Nikalo Gay Jo Naiza
Akbar
Akbar Kay Janazay Pay Mujhay Lay Chalo Bhaiya
Jo Zakhm Lagay Hain Woh Dikhaye Ga Na Tum Ko
Shayad Woh Takalluf Mein Bataye Ga Na Tum Ko
Main Maan Hun Magar Mujh Sy Chupa Hi Nahi Sakta
Akbar Kay Janazay Pay Mujhay Lay Chalo Bhaiya
Main Jaanti Hun Kaisay Jawan Hotay Hain Betay
Aur Dekhnay Parh Jayen Agar Un Kay Janazay
Ab Main Bhi Samajh Sakti Hun Aulaad Ka Sadma
Akbar K Janazy Py Mujhy Ly Chalo Bhaiya
Anay Nahi Dun Gi Main Kisi Ko Bhi Wahan Par
Jee Bhar Ky Galay Milna Jawan Laal Say Ja Kar
Main Maot Say Keh Dun Gi Zara Dair Thehar Ja
Akbar Kay Janazay Pay Mujhay Lay Chalo Bhaiya
Baba Meray Baba Ki Sada Dey To Raha Hai
Awaz Say Lagta Hai Bahut Door Gira Hai
Lo Hath Mera Thaamo Bahut Dhool Hai Jaanan
Akbar Kay Janazay Pay Mujhay Lay Chalo Bhaiya
Haye Akbar
Us Karb Ki Halat Say Nikaalay Ga Tumhen Kon
Woh Airhian Ragrhay Ga Sambhalay Ga Tumhen Kon
Chadar Say Bana Lun Gi Main Kuch Dair Ko Parda
Akbar Kay Janazay Pay Mujhay Lay Chalo Bhaiya
Tooti Hai Kamar Aap Ki Ay Meray Baradar
Gir Gir Kay Uthen Gay To Hansen Gay Yeh Sitamgar
Main Aap Ko Ban’nay Ko Nahi Dun Gi Tamasha
Akbar Kay Janazay Pay Mujhay Lay Chalo Bhaiya
Roti Hai Koi Bibi Musalsal Pas E Parda
Jab Sy Hai Suna Mir Takallum Tera Noha
Bhai Say Galay Mil Kay Behan Boli Dobara
Akbar Kay Janazay Pay Mujhay Lay Chalo Bhaiya
Akbar Haye Haye Akbar