Akbar Bhi Nahi Baakhi Asghar Bhi Nahi Baakhi
quran tha jis ghar may wo ghar bhi nahi baakhi
har tarha ke sadmo se betaab sakina hai
aakar usay samjhao
abbas chale aao
kano ki lawaen khenchi kano se gowhar today
ya kahkashan todi ya shams-o-qamar today
today hai zamane may iqlaaq ke saanche bhi
maare hai tamache bhi bachi pa taras khao
abbas….
ye raat ye tareekhi ye dasht ye sannata
lamho ke taghayyur may sadiyo ka safar kaata
ye jalte hue qaime ghabrake na mar jaaye
masoom kidhar jaaye masoom ko samjhao
abbas….
kya aisay bahadur ko dekha kabhi duniya ne
daato se alam thama baazu se kate shaane
sar giriyae wehshat may deewar se maaregi
ammu ko pukaregi ammu ko bula lao
abbas….
ek haul sa uth ta hai is shame ghariban may
ek khauf sa dasta hai jangal may biyaban may
zanjeeer bapa bhai phuphi bhi rasan basta
phir band har ek rasta ab aur na tadpao
abbas….