Abhi Khanjar Na Chala Abhi Khanjar Na Chala
Jab Giray Ghode Se Maqtal May Shahe Karbobala
Khanjare Zulm Liye Shimre Sitamgaar Badha
Di Tarap Kar Dar-e-Khaime Se Ye Zainab Ne Sada
Abhi Khanjar Na Chala Abhi Khanjar Na Chala
Zaalim Abhi Khajar Na Chala
Toot Mat Behre Khuda Fatima Zehra Ka Chayn
Aur Kuch Dayr Teherja Aray Zaalim Ke Hussain
Bakshishe Ummate Jad Ki Abhi Kartey Hai Dua
Abhi Khanjar Na Chala
Teen Din Hogaye Pyasa Hai Nabi Ka Jani
Zibha Karna Hai To Do Ghoont Pilade Pani
Kund Khanjar Hai Mere Bhai Ka Sookha Hai Gala
Abhi Khanjar Na Chala
Bosagaahe Nabavi Hai Ye Gala Ay Zaalim
Sheh-ragay Deen Pe Khanjar Na Chala Ay Zaalim
Choomte Thay Isi Halqoom Ko Mahboob E Khuda
Abhi Khanjar Na Chala
Chor Kar Khuld Zara Fatahey Khyber Aalay
Aur Kuch Dayr Teher Ja Ke Payambar Aalay
Aati Hi Hogi Wo Aa Lene De Amma Ko Zara
Abhi Khanjar Na Chala
Kya Karoon Jaon Kahan Kis Ko Pukaroon Bhai
Kaise Dekhegi Tumhein Todtey Dam Maa Jaayi
Ya Ilahi Mujhe Shabbir Se Pehle Le Utha
Abhi Khanjar Na Chala
Haye Kis Dil Say Karoon Tazkiraye Joro Jafa
Kat Gaya Saamne Zainab Ke Shahe Deen Ka Gala
Cheekhti Reh Gayi Zainab Sar E Maqtal Ba Khuda
Abhi Khanjar Na Chala