Abbas Meere Karwan Lyrics

Yasrab se suwe karbala, ik karwaan rukhsat huwa
Sar pe alam saaya fighan, Ghazi(a.s) ki aati hai sada
Pehla safar Zainab(s.a) ka hai, Sunsaan kardo raasta


Kaarewaan, Abbas(a.s) meer-e-karwaan


Kya shaan he kya dab daba, Kya log hein quraanuma
Salle ala sale ala ayaat ka he qaafla, Mashko alam inka nishaan
Abbas(a.s) meere karwaan, Kaarewaan, Abbas(a.s) meer-e-karwaan
Allah(j.j) ke pyaare hein ye, Aale Nabi(s.a.w.w) saare hein ye
Quran ke pare hein ye, Kaunain ke tare hein ye
Zere qadam he asmaan, Abbas(a.s) meere karwaan


Kaarewaan, Abbas(a.s) meer-e-karwaan


Koi Shabih-e-Mustafa(s,a.w.w), Koi Hassan(a.s) ka dilruba
Hai koi aks-e-Sayyeda(s.a), Shabbir(a.s) ka ye qaafila
Thaame alam jo hai jawaan, Abbas(a.s) meere karwaan


Kaarewaan, Abbas(a.s) meer-e-Karwaan


Yasrib se taba karbala, Har din tawaafe kaafila
Abbas(a.s) karta hi raha, Parde ka zimmedaar tha
Yun mutmain thi Bibiyaan(sa.), Abbas(a.s) meere karwaan


Kaarewaan, Abbas(a.s) meer-e-karwaan


Abbas(a.s) woh kirdaar he, Ba’ade Ali(a.s) salaar hai
Aysa alam bardaar hai, Maydan mein be talwar he
Phir bhi alam ka paasbaan, Abbas(a.s) meere karwaan


Kaarewaan, Abbas(a.s) meer-e-karwaan


Lo agaya uska alam, Ghazi(a.s) jise kehte hein hum
Kehte chalo ye dambadam, Abbas(a.s) meer-e-lashkaram
Babul hawaaij mehrabaan, Abbas(a.s) meere karwaan


Kaarewaan, Abbas(a.s) meer-e-karwaan


Jab shaam pohoncha qafla, Khutba ye Zainab(a.s) ne diya
Sunle ye qaum-e-ashkiya(l.a), Hum hein bina-e-lailaah
Kashti he dee(n) hum baadbaa(n), Abbas(a.s) meere karwaan


Kaarewaan, Abbas meer-e-karwaan


Tha hashr mein Mola Ali(a.s), Ye “Sarwar-o-Rehan” bhi
Nazre karam se aapki, Rakhte hein ummeed-e-qawi
Nawhon se denge ye bayaan, Abbas(a.s) meere karwaan


Kaarewaan, Abbas(a.s) meer-e-karwaan

7,935 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot