Abbas Aa Rahay Hain Lyrics

Abbas aa rahe hai
(Ek shor hai, al amaan) x4
x2
(Ek shor hai, al amaan) x4
x2


Ek haath mein alam aur mashke sakina
(Abbas aa rahe hai) x2


Kaandhe pe mashk mashk mein dil hai diler ka
Darya ko chin lena nahi kaam der ka
Ehsan tishnagi me hilega na ghair ka
(Bighra hua mizaj hai) x2


Bighra hua mizaj jai hyder ke sher ka
(Abbas aa rahe hai) x2
Chehra hai wal kamar ki ziyao se nur nur
Aankho se jaakhta hua wan najal ka surur
Bala kadi hai aaisi ke sharmae koheyr
(Zulfe daraz aisi) x2
Zulfe daraz aisi ke wal lail ka shaur


(Abbas aa rahe hai) x2


Pyaasa hai sher ghat ka rasta na rokna
Aankhe jukawo sher ki janib na dekhna
Kaise bache ye jaan ye lazim hai sochna
(Abbas hai jalaal mai) x2
Abbas hai jalaal mai hargiz na tokna
(Abbas aa rahe hai) x2


Tewar beta rahe hai kayamat uthayega
Tege nazarse iski khuda hi bachayega
Aaya jo samne koi who mara jayenga
(Ek mashk me furat ko) x2
Ek mashk me furat ko bharkar dikhaega
(Abbas aa rahe hai) x2


Kabza hua furat par al kissa mukhtasar
Paani ko dekha phat gayaa abbas ka jigar
Aankhe lahu lahu hui bachcho ki pyas par
(Baali sakina bacho se) x2
Baal sakina bacho se kehti rahi udhar


(Abbas aa rahe hai) x2


Khayme ke dar par pyaasi sakina thi muntazar
Jumbish alam ki dekh ke deti thi yeh khabar
Tishna labo dua me tumhari hua asar
(Who dekho aa raha hai) x2


Wo dekho aa raha hai chacha ka alam nazar
(Abbas aa rahe hai) x2


Aaya alam zurur magar khun me bharaa
Zainab ne sar ko pitt ke shabbir se kaha
Kyun kham kamar hai aap ki gaazi kaha gaya
(Bole hussain ab koi) x2
Bole hussain ab koi pyaasa na de sadaa
(Abbas aa rahe hai) x2

 


Ek haath me alam aur mashke sakina
(Abbas aa rahe hai) x2

1,038 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot