Aawaaz do baba mujhe, aawaaz do baba,
Ikeesween ramzaan ko, ye zainab ka tha nauha,
1)
amma toh gyi chhod ke ab aap na jaao,
Kyu rooth gye beti se, itna toh batao,
zainab hai bulati tumhe..x2 Kuch bolo khudaara.
2)
aankhein toh zara kholke, dekho meri halat,
chehron pe yateemo ke, barasti hui gurbat
khaliq ke siwa koi…x2 Nhi aaj humaara.
3)
kis tarah se woh eid manaenge batao,
mamloos bhala kisse mangaenge batao,
jin bacchon ke sar par na ho maa-baap ka saaya.
4)
tum kitne sakhi ho ye zamaane ko pata hai,
Khud pyaase rhe logo ko sehraab kiya hai,
har modh pe duniya ne…x2 tumhe phir bhi sataya.
5)
socho toh zara guzregi, kya kya mere dil par,
aankhein mri dekhengi, bhala kaise woh manzar,
hasnain ke kaandho pe…x2 Jab utthega janaza.
6)
Hasnain ko samjhaen ke ghaazi ko manaen,
mujhko kabhi kulsoom ko seene se lagaaen,
maa umme-baaneen roti hai..x2 sir peet k apna
7)
Roye mera shabbir toh behaal hai shabbar,
Kya beet gayi dekhiye kulsoom ke dilpar,
Abbas ke rone se…x2 tadapta hai kaleja
8)
hai nauha-kuna aaj bilakti hui aankhein,
kehti hai ye allah se rukti hui saanse,
kyun utth gya duniya se yateemon ka sahara.
9)
Imraan-o-saeed aao dua maange khuda se,
bibi ke wasile se hame shaam bula le,
Shehzaadi ke rauze par..x2 padhe milke yeh nauha