Aaj Shaaam Tak
subhe ashoor baade azan karbala kar rahi hai fughaan
qaimo may sirf hoga dhuan aaj shaam tak
ghat jayegi ye umre rawan aaj shaam tak
kaisi saji hai baargah e shere zuljalaal
akbar sa naujawan koi qasim sa khush jamaal
abbas sar se taaba qadam hyderi jalaal
dekhe suye qayam kisi ki nahi majaal
lekin jiyega koi kahan aaj shaam tak
qaimo may sirf…
bachon may keh rahi hai sakina khushi khushi
do ek pahar ki baat hai apni ye tishnagi
bhaari hai lashkaron pe har ek farde hashmi
qayam rahe khuda mere ammu ki zindagi
hojayenge watan ko rawan aaj shaam tak
qaimo may sirf…
rakhe namaaz padhke musalle lapayt kar
lo ahle shar ke saamne ja pahunche pur jigar
lagta nahi hai zeest ki hai aakhri sahar
ye josh ye kharosh ye raunak to hai magar
har samt hogi aah o fughan aaj shaam tak
qaimo may sirf…
akbar khade hai ultay huay apni aastin
din dhal raha hai chupne lagay hai rukhe haseen
zainab ko ho chala hai aseeri ka ab yaqeen
lo waqt e asr aa gaya shabbir bhi nahi
badlega baar baar samaa aaj shaam tak
qaimo may sirf…
as-haab o aqroba may na baaqi koi raha
qaime may aaye rote huwe shahe karbala
bosa gale pa bhai ke zainab ne jab liya
baazu behan ka choom ke shabbir ne kaha
honge yahan rasan ke nishan aaj shaam tak
qaimo may sirf…
ghash may paday hai abid e beemar farsh par
teemaar daar daud rahe hai idhar udhar
khona hai kya dabeer kisi ko nahi khabar
aada uthayenge inhay bistar ghaseet kar
gardan may hoga tauq e garan aaj shaam tak
qaimo may sirf…
509 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot