karbala aagaye sadaat
uthiye hussain aap ke zawwar aaye hai
zindan se chutke abid e bemaar aaye hai
bhoole nahi hai sham aur koofe ke raaste
tarse huwe hai maula ye matam ke waaste
sab kuch lutaake aao ke ghamkhar aaye hai
zainab ne chalte naaqe se khud ko gira diya
phir koniyo se chal ke gayi bhai se kaha
hum log hoke kooch o bazaar aaye hai
gardan pe aur jism pe zanjeer ke nishan
ek ek zakhm dard ki kehta hai daastan
zindan se zinda laut ke lachaar aaye hai
jee khol kar yahan tera matam karenge hum
karbobala may majlise chehlum karenge hum
ay maula sham waale azadaar aaye hai
zindan may ek teri azadar reh gayi
karbobala na aayi na zindan se ghar gayi
dafna ke usko abid e bemaar aaye hai
zindan may karke aaya hai majlis ye kaarwan
sab bibiyan thi matami zainab thi nohakhwan
mehre khuda o deedaye khoon baar aaye hai
kaisa safar batool ki beti ne tay kiya
dete nahi they aseeron ko raasta
tay kar ki saari manzilein dushwaar aayi hai
be-dard thay wo sham aur koofe ke sab makeen
tang hogayi thi aale mohamed pe ye zameen
sadaat hoke jeene se be-zaar aaye hai
farhan o mazhar abdi kyun na ho nauhagar
sajjad chut ke qaid se baba ki qabr par
lekar nishane tauq e garabaar aaye hai
zindan se chutke…