Zameen-o-Aasman Dono Hai Larza Zulm-e-Paikaa Se
bujhay ja rahi hai pyas asghar ki rag-e-jaa se
tazbazab may khade hai darmiyan-e-qaima-o-maqtal
shah-e-deen soch may hai ke kya kahein be-sheer ki maadar
madaar-e-karbala hai tum pa ay asghar chalay aao
ajal awaaz deti hai musalsal aaj maydaa se
koi bacha humak kar baap ke haathon pe marta hai
bagolay uth rahay hai har taraf khaak-e-bayabaa se
usi ke khoon se chahra hua hai surq sarwar ka
ulat kar aasteenain jis ki le aaye thay armaa se
rahaygi taa qayamat alqama sharminda sharminda
lipat kar tashnagi roti rahaygi us ke damaa se
rabab-e-qasta tan ko daag bacho ka bhi sehna hai
koi chutayga karbal mai koi bichdega zindaan se
ali asghar hai mehvay khwaab shahid seena-ey sheh par
badal kar nainava ko karbala jaise gulista se