Zakhmi peshani hay Murtaza ki
Ibne Muljim pe lanat Khuda ki
Asman par udasi hay chayi
Gham may doobi hui hay Khudayi
Shair e dawar pe jis ne jafai ki
Ibne Muljim pe lanat Khuda ki
Khuld may Fatima ro rahi hay
Jan Ummul Baneen kho rahi hay
Muztarib hay safeen ambiya ki
Ibne Muljim pe lanat Khuda ki
Kyun na hooran e jannat ho giryan
Zainab e ghamzada hay pareshan
Hay jabeen khoon khairul wara ki
Ibne Muljim pe lanat Khuda ki
Kaise Fizza jigar ko sambhalay
Bibi Kulsoom karti hay nalay
Lash uthti hay shah e huda ki
Ibne Muljim pe lanat Khuda ki
Hashr aalam may hay aaj barpa
Ro ke Jibreel kartay hain Noha
Haey haey Ali ne qaza ki
Ibne Muljim pe lanat Khuda ki
Ambiya kartay hain haey haey
Kaise Hasnain ko chain aaye
Ghair halat hay aal e aba ki
Ibne Muljim pe lanat Khuda ki
Sar pataktay hain Abbas Ghazi
Khoon may tar hua hay namazi
Inteha ho gayi hay jafa ki
Ibne Muljim pe lanat Khuda ki
Rozadaron may mehshar bapa hay
Ya Ali Ya Ali ki sada hay
Hay azdari mushkil kusha ki
Ibne Muljim pe lanat Khuda ki
Gir na jaye kaheen aaj Kaaba
Uth raha hay Ali ka janaza
Aa rahi hay sada kibriya ki
Ibne Muljim pe lanat Khuda ki
Subh ikisveen ki hay qayamat
Murtaza par hay tooti museebat
Ibtida ho gayi Karbala ki
Ibne Muljim pe lanat Khuda ki
Aey Azeem o Najaf gham manao
Tum bhi Haider ka taboot uthao
Tum jaza pao gay is aza ki
Ibne Muljim pe lanat Khuda ki