Zainab Ye Roke Boli Bhaiya Na Dil Dukhao

Zainab Ye Roke Boli Bhaiya Na Dil Dukhao
kya der ka sabab hai ye to hame batao
mashkeeza bhar ke jaldi darya se laut aao
bachi ki tashnagi ko tum aake khud bujhao
abbas abbas abbas pani lao

wo ghamzada yakeenan yaadon may kho gayi hai
baba ko rote rote khud thak ke sogayi hai
ya tashnalab sakina behosh ho gayi hai
pani ka deke cheenta tum hi usay jagao
abbas abbas abbas pani lao

haton may khaali kuze bache liye hue hai
girde sakina dekho halqa kiye hue hai
bache na jaane kab ka pani piye hue hai
bin aab mar na jaaye pani unhe pilao
abbas abbas abbas pani lao

is bekasi pe haaye aata hai mujko rona
purhaul hai andhera aur khaak ka bichona
seene pe soni wali kya jaane aise sona
pyasi hai mustarib hai aakar usay sulao
abbas abbas abbas pani lao

kano may al-atash ki awaaz aa rahi hai
aur uspe fauje aada ye zulm dha rahi hai
unko dikha dikha kar pani baha raha hai
bache hai sheh ke pyase aada ko ye batao
abbas abbas abbas pani lao

ulfat ki aag dil may payham lagi hui hai
rouza tumhara dekhe ye hasrate dili hai
zaair bane tumhara ye khahishe zaki hai
aankhon ki tashnagi ko tum hi isay bujhao
abbas abbas abbas pani lao

653 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot