Zainab thi berida, sar e bazaar sham tak
Thehra nahi sina pe, alamdar sham tak
Aal e nabi k khoon se, rangeen jo na ho, essi nahi thi koyi bhi, dewar sham tak
Abid ko marte rahe, pathar he kalma go, chadar he mangta raha, beemar sham tak
Bhai k qatiloun so jo, karna para kalaam, zainab hoyi shaheed, kayeen baar sham tak
Badlay Ali Wali k, hoye subho se shuru, zainab ko marte rahe, aghiyaan sham tak
Suraj ne jinka saya bhi, dekha na tha kabi, unko mila na saya na, dewar sham tak
Maoun k hath they pasay, gardan banday hoye, pathar baras rahe they, lagadaar sham tak
Ye dastaan ye sham e, gharriban faqt nahi, loota gaya hussain ka, ghar baar Gham tak
Mohsin nishan jis pe they, khoon e hussain k, ummat woh choomti rahi, talwar sham tak
261 Views