Zainab ko maa ka farman, pardais main rulaye
Piyasay ko kesay pani, piyasi behan pilaye
1- Baba to karbala main, us kay shaheed ho gaye
bazu kata kay chacha darya pay wo bhi sogaye
ab kon jo Sakina, ko shimr say bachaye
2- Dhonda bohat hay shah nay, sehra main Ibn e Shabbar
Qasim ko jab sameta bolay Hussain ro kar
ye laash lay kay khaimay, Shabbir kesay jaye
3- Yarab kisi ki baiti, na aisie ho satayeii
na samnay behn Kay, ho qatl koi bhai
piyasi qabar na koi, pardais main banaye
4- Ahmad ki betion Kay, balway main sar khulay hain
Sar ko jhukaye Abid khamosh chal rahay hain
Sajjad ki aseeri, kainaa’t ko rulaye
5- Pursay ki ais jahan main, her rasam hai batati
Marta hai jab bhi koi duniya Hasan hai jaati
Laikin Ghareeb Zahra, khud pursa lainay aye
1,230 Views