Qareeb Aagaya Ub Waqt-e-Akhiri Zainab
Salaam Tum Pay Aey Baba Ki Laadli Zainab
Zainab Nay Kaha Kon Hai Pardes Mei Mera
Kyun Jaatay Ho Tum Chore Kay Bhaiyya Mujhai Tanha
Zainab Ko Her Ik Mor Pay Tarpaeygi Duniya Yaad Aaogai Bhaiyya, Haye
Baad Aap Kay Hoga Meri Ghurbat Ka Ye Aalam
Us Waqt Gharibi Bhi Karay Gi Mera Matam
Sadaat Ko Jub Raah Mei Dayga Koi Sadqa Yaad Aaogai Bhaiyya, Haye
Yaad Aaeyga Bhaiyya Mujhai Ferman Tumhara
Tum Daikh Nahien Paey Ho Akbar Ka Jo Sehra
Dawat Koi Shaadi Ki Madinay Mei Jo Dayga Yaad Aaogai Bhaiyya, Haye
Is Maah Say Mansoob Theen Bhaiyya Meri Khushian
Thi Sub Say Bari Eid Meri Teesri Shabaan
Shabaan Kay Jub Chand Ko Daikhaygi ye Behna Yaad Aaogai Bhaiyya, Haye
Itna Tha Khayal Aap Ko Parday Ka Berader
Lay Jatay Thay Tum Raat Ko Amma Ki Lehad Per
Ub Daikhaygi Zainab Kay Khulay Sar Ko Ye Duniya Yaad Aaogai Bhaiyya, Haye
Deedar Bhi Ho Jaeyga Beti Kay Bahaanay
Kya Shaam Kay Zindaan Mei Aaogay Sulanay
Soeygi Nahien Jub Meri Lori Say Sakina Yaad Aaogai Bhaiyya, Haye
Hota Tha Takallum Youn Juda Bhai Behen Say
Jis Tarha Koi Rooh Nikalti Ho Badan Say
Sheh Run Ko Chalay Kehti Rahi Saani-e-Zehra Yaad Aaogai Bhaiyya, Haye